Raat bhi neend bhi kahaani bhee
haaye kya cheez hai jawaani bhee
dil ke sholoN se paDti hai sehra
zindagi aag bhee hai paani bhee
khaRk kya kya muJhe nahiN kehti
kuch sunooN maiN teri zubaani bhee
paas rehna kisi ka raat ki raat
mehmaani bhee mezbaani bhee
--------------------------------------------------------------------------------
aaye haiN samjhaane log
haiN kitne deewane log
dair-o-haram meiN chain jo miltha
kyoN jaathe maikhaane log
jaan ke sab kuch, kuch bhi na jaane
haiN kitne anjaane log
waqt pe kaam nahiN aathe haiN
ye jaane pehchaane log
ab jab mujh ko hosh nahiN haiN
aaye haiN samjhaane log
--------------------------------------------------------------------------------
Kaash use chahne ka arman na hota,
Main hosh me rehte hue anjan na hota
Na pyar hota kisi pathar dil se humko,
Ya phir koyi pathar dil insaan na hota.
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jawan hain raat sakiya sharaab la sharaab la
zara si pyaas to bhuja sharaab la sharaab la
tere shabab par sada karam rahey bahaar ka
tujhay lage meri dua sharaab la sharaab la
yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh mein
mitaa dey naam hosh ka sharaab la sharaab la
tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja
na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye
subaH hone ko hai maahOl sajaaye rakhiye
jinke haathoN se hume zakm-e-neha pahunchi hai
wo bhee kehte hain ke zakhmoN ko chupaaye rakhiye
kaun jaane ke wo kis raah-guzar se guzre
har guzar raah ko phooloN se sajaaye rakhiye
daaman-e-yaar ki zeenat na bane har ansoo
apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
ye to nahiN ke gam nahiN
haaN meri aaNkh nam nahiN
tum bhi to tum nahiN ho aaj
hum bhi to aaj hum nahiN
ab na khushi kee hai khushi
gam ka bhi ab to gam nahiN
maut agar che-maut hai
maut se zeest kam nahiN
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Hum hi mein thee na koi baat, Yaad hi na tumko aa sake
tumnay
hameiN bhula diya hum na tumhe bhula sake
Tum hi na sun sake agar kissa-e-gham sunega kaun
kish ki zubaan khulegi phir hum na agar suna sake
Shauk-e-visaal hain yahaN lab pe sawaal hai yahaN
kis ki majaal hai yahaN hum se nazar mila sake
---------------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment