Friday, 10 July 2015

Logo ne Roz kuch naya manga khuda se Ek hum hi tere khyal se aage nahi Gaye

        
       Mohabbat bhi kya cheez banai khuda Tune....
          Tere hi Dar pe tere hi bande rote hai 
               kisi aur ko pane ke liye..



     

***************************************

Kaise Gujer Rahi hai..   
Sabhi Puchte hai....
Kaise Gujarata Hu
Koi Puchta hi nhi.....


***************************************

Kash k wo bhi ah keh hum se kah de...
Mai bhi tanha hu.
  Tere bin...
  Teri tarah...
  Teri kasam...
  Tere liye..!!
***************************************
               
Kaash k wo bhi aa k hum se kah de......
Mai bhi tanha hu...
Tere bin...
teri tarah...
teri kasam...
tere liye..!!
**************************
कई रोग दे गई है..
पहले मौसम की बारिश...
बहुत याद रहेँ हैँ..
हमेँ भुल जाने वाले.!!
**************************
अजीब नींद मेरे नसीब में लिखी है,
पलकें बंद होती हैं तो दिल जाग जाता है !

**************************

हर शख़्स की आंखाे में चुभने लगा हूँ मैं,
मैं वैसा हूँ नहीं,जैसा लगने लगा हूँ  मैं!
**************************
Marta Nahi Koi Kissi Ke Baghair 
Ye Haqeqat Hai Zindagi Ki........
Leekin sirf saanse lene ko
jeena nahi kahte...!!!
**************************
कुछ इस कमाल से खेली उसने इश्क़ की बाजी!! 
कि हम अपनी जीत समझते रहे, सब कुछ हार जाने तक..!!
**************************
मेरी ज़िन्दगी में बस दो ही काम है  जो नामुमकिन है.........,
.एक उन्हें पा लेने की तमन्ना और 
दूसरा उन्हें भूल जाने की ख्वाहिश......!!
**************************
काश मैं लौट जाऊँ बचपन की उन गलियों में...  
जहां ना कोई ज़रूरत थी, ना कोई ज़रूरी था..
**************************
कोई ताल्लुक जोड़ो.... मगर सामने तो रहो....
तुम अपने गुरूर में खुश.... और हम अपने सुरूर में खुश!!
**************************
वो खेलती है मुझसे
मुझे भी ये पता है...
पर उसके हाथ का खिलौना,
होने में भी एक मज़ा है |।।
**************************
एक खेल रोज खेलते हैं जिंदगी 
खुद खोकर तुम्हें पाने में मजा आता !!

**************************
शहर जालिमों का है संभल कर ,चलना,
लोग सीने से लग कर दिल निकाल लेते है..
**************************
फ़िकर तो तेरी आज भी करते है..!
बस ज़िकर करने का हक रहा..!!
**************************

क्या अजीब सबूत माँगा है उसने मेरी मोहब्बत का,

मुझे भूल जाओ तो मानू की तुम्हे मुझसे मोहब्बत है..
**************************

इसे इत्तेफाक समझो या दर्दनाक हकीकत,आँख जब भी नम हुई
वजह कोई अपना ही निकला..!!
**************************
Zakhm Jab Hamare Seene Ke Bahar Aayenge
Ansoo Bhi Moti Bankar Bikhar Jayenge
Ye Mat Puchna Kis Kis Ne Dukhaya Dil Hamara
Warna Kuch Apno Ke Bhi Naam Aayenge..!
**************************
आखिर आज हमारी आँखों ने थक कर कह ही दिया .. .
"ख्व़ाब वही देखा करो जो पूरा हो जाए  
बार बार हमसे भी रोया नहीं जाता  
**************************
 इतनी बदसलूकि ना कर
 ,,,,,, जिंदगी,,,,,,
हम कौन सा यहाँ 
बार बार आने वाले है
**************************
शायद ये ज़माना उन्हे भी पूजने लगे.....
कुछ लोग इसी ख़याल से पत्थर के होने लगे....!!
**************************
उसकी हसरत को मेरे दिल में लिखने वाले..
काश उसे भी मेरी तकदीर में लिख दिया होता..!!
**************************
Logo ne Roz kuch naya manga khuda se .......
Ek hum hi tere khyal se aage nahi Gaye.....

**************************
अपनी तक़दीर में तो कुछ ऐसा ही सिलसिला लिखा है,
किसी ने वक़्त गुजारने के लिए अपना बनाया,
तो किसी ने अपना बना कर वक़्त गुज़ार लिया।
**************************
वो शायद मतलब से 
मिलते थे  लेकिन मुझे तो मिलने से मतलब था.
**************************
होठों की हंसी को ना समझ हक़ीक़त जिंदगी
दिल मै उतर कर देख कितने उदास है हम तेरे बिन !
**************************
सबके कर्ज़े चुका दूं मरने से पहले, ऐसी मेरी नियतं हैं,
मौंत से पहले तूं भी बता दे ज़िन्दगी, तेरी क्या किंमत हैं.

**************************

Ab Bas Khatam Bhi Karo Yeh Baazi-e-Ishq Ki
Muqaddar Ke Hare Hue Kabhi Jeeta Nahi Karte.
**************************
ज़माने के सवालों को मैं हसं के तो टाल दूं लेकिन 
नमी आँखों कि कह ही देगी कि तुम मुझे बेहद याद आते हो
             Missing You 

Thursday, 9 July 2015

Ek Hum mein he thee na koi baat yaad hi na tumko aa sake tumhay

     Raat bhi neend bhi kahaani bhee
     haaye kya cheez hai jawaani bhee

     dil ke sholoN se paDti hai sehra
     zindagi aag bhee hai paani bhee

     khaRk kya kya muJhe nahiN kehti
     kuch sunooN maiN teri zubaani bhee

     paas rehna kisi ka raat ki raat
     mehmaani bhee mezbaani bhee
 
  -------------------------------------------------------------------------------- 

     aaye haiN samjhaane log
     haiN kitne deewane log

     dair-o-haram meiN chain jo miltha
     kyoN jaathe maikhaane log

     jaan ke sab kuch, kuch bhi na jaane
     haiN kitne anjaane log

     waqt pe kaam nahiN aathe haiN
     ye jaane pehchaane log

     ab jab mujh ko hosh nahiN haiN
     aaye haiN samjhaane log
 
-------------------------------------------------------------------------------- 
 
 
      Kaash use chahne ka arman na hota, 
      Main hosh me rehte hue anjan na hota 
      Na pyar hota kisi pathar dil se humko, 
      Ya phir koyi pathar dil insaan na hota. 
 
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
 
 
 
     Jawan hain raat sakiya sharaab la sharaab la
     zara si pyaas to bhuja sharaab la sharaab la  

     tere shabab par sada karam rahey bahaar ka
     tujhay lage meri dua sharaab la sharaab la  

     yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh mein
     mitaa dey naam hosh ka sharaab la sharaab la

     tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja
     na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la 
 
 ---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
 
 
ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye
     subaH hone ko hai maahOl sajaaye rakhiye

     jinke haathoN se hume zakm-e-neha pahunchi hai
     wo bhee kehte hain ke zakhmoN ko chupaaye rakhiye

     kaun jaane ke wo kis raah-guzar se guzre
     har guzar raah ko phooloN se sajaaye rakhiye

     daaman-e-yaar ki zeenat na bane har ansoo
     apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye
 
 
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
 
                                         ye to nahiN ke gam nahiN 
                                         haaN meri aaNkh nam nahiN 
 
                                         tum bhi to tum nahiN ho aaj 
                                          hum bhi to aaj hum nahiN 
 
                                          ab na khushi kee hai khushi 
                                          gam ka bhi ab to gam nahiN 
 
                                          maut agar che-maut hai 
                                          maut se zeest kam nahiN  
 
 -----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
 
             Hum hi mein thee na koi baat, Yaad hi na tumko aa sake
     tumnay 
                       hameiN bhula diya hum na tumhe bhula sake 
 
                   Tum hi na sun sake agar kissa-e-gham sunega kaun 
                     kish ki zubaan khulegi phir hum na agar suna sake 
 
                    Shauk-e-visaal hain yahaN lab pe sawaal hai yahaN 
                        kis ki majaal hai yahaN hum se nazar mila sake 
 
 
 
 
---------------------------------------------------------------------------------
 
 

Jindagi Se NAFRAT kise hOti hai, MARNE KI cHahat kiSe Hoti hai PYAR bhi ek ITTEFAQ hota hai, WARNA aAnSUO se mohaBbAt kiSE hOti hai....

 
 
 
     Bahut pehle se un qadmon ki aahaT jaan letey hai
     tuJhe ae zindagi hum door se pehchaan letey haiN

     Tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raatoN meiN
     hum aise meiN teri yaadoN ki chaadar taaN lete haiN
 
 
     Meri nazreN to aise qaafiroN ka jaan-o-imaaN hai
     NigaaheN milte hi jo jaam aur imaan lete haiN

     'firaq' aksar badal kar bhesh milta hai koi qaaTil
     kabhi hum jaan lete hiaN kabhi pehchaan lete haiN

mere rukne se meri saaNse bhi ruk jaayengi faasile aur baDha do ke maiN zinda hooN abhi - manish gahlyan

   

      Kisi ranjish ko hawa do ke maiN zinda hooN abhi
   muJhko ehsaas dila do ke maiN zinda hooN abhi

    



                                       mere rukne se meri saaNse bhi ruk jaayengi
                                       faasile aur baDha do ke maiN zinda hooN abhi

                                       zehar peene ki to aadat thi zamaane waaloN
                                       ab koi aur dawa do ke maiN zinda hooN abhi

                                       chalti raahoN meiN yooNhi aaNkh lagi hai 'faakir'
                                      bheeD logoN ki hata do ke maiN zinda hooN abhi